Wednesday, 2 March 2011

allahabad


station se utarkar
charo or narzrein failakar
dekha wahan fir se 5 saal baad
jahan urdu mein likha tha"allahabad"


station se bahar aakar
ek rickshaw ko rokar
pochha "bhai kitne loge 0 road chodkar"
wo bola"kuchh bhi de do sahab" haath jod kar

usk baad rickshaw mein baithkar
laga aaj ghumenge sara shahar
dhire dhire badha rickshaw
dekha ek mandir tha udhar

na badla itne saal mein uska asar
hindu musalman jhukata wahan apna sar
baaju mein chai ki dukan pe jama log
dekh rahe world cup purani tv par

chai ki chuski aur pan ki bahar
"wo laga chhakka" uchhle log kehkar
rickshaw nei ab pakdi raftar
bola wo"aaye ho shar mein pehli baar"

hum bole "nahi chacha"
yahan se humara rishta purana
laga rahta hai allahabad ki tang
galiyon mein aana jana

itne mein aayi halwayi ki dukan
jahan the samose namkeen aur pakwan
dekhkar humare muh mein paani aaye
lage chalo chalkar kuchh khaya jaye

utre rickshaw se hum
aur mangi jalebi garmagaram
lekar beithe rickshaw mein
fir aage chal diye hum

badi bhid jama ek thele ki taraf
gaye to dekhe mil rahi thi"nanka ki baraf"
humara jee phir se lalchaya
bola ricksaw"0 road aaya"

utre rickshaw se; paise diye
thele pargaye bole" hum bhi ek kulhar dijiye"
diye nanka ko 50 or rickshaw ko 100
pedal nikal pade us gali se apne ghar ko





4 comments:

  1. really .. allahabad can ever be changed ..

    i m alwayz be there bt never seen ny better change in last 23 yrs

    ReplyDelete
  2. बहुत बढ़िया ...सुन्दर...ईलाहाबाद का रोचक वर्णन....!
    पंकज.

    ReplyDelete